'SAPNO KI BAARISH'
Tu khwabo ki khwahish to kar Sapno ki baarish to kar
Bheegne se darta hai tu Boondo se hi ladta hai tu
Tu bheegne ki chahat to kar Tu Khwabo ki khwahish to kar
Ummid k badal bula Hausalo ki bijli gira
barse fir sapne jam ke bheege fir pagal ban ke
Tu darr ki chhat se bahar to aa ghabrahat ki chatri wahi chodh aa
Fir dekh to bheegne ka maza Sapno mei chupi haqiqat ki sada.
Artwork Comments