Ek din apani puraani cheejo me mila mujhe apna kuch puraana saamaan
Saamaan kahu ya kahu usey gaye jamaane ki dhundhali yaad
Wo tha ek kaaagaj jispe likha tha mere hatho ka pehla akshar
Jo maa ne hath pakad ke likhwaaya tha
Us "likhaawat" or meri "yaado" me jaada farak to nahi hai
Dono hi kuch "dhundhale" jo hai.
Yaado ke "mundaer" pe chhadh ke jab bachpan waale puraane ghar me jhaanka
to khud ko apane aangan me khelte hue paaya
Meri maa ko apane peeche bhaagte hue paaya
wo khaane ki thali leke daudate hue paaya
Wo daudate daudate mera munder se chot khaana
Or meri maa ka mujse bhi jaada rona yaad aaya.
or fir rote hue pyaar se niwaala khilaaana
mera khaane ke swaad se ubkaai lena b yaad aaya
phone ki ghanti baji to yaado ka silsila tuta
yaad aaya ki maa to meelo door hai.
.ab wo nahi dhoondh paayegi mujhe bhalaa kaise khaana khilaaegi mujhe?
kaise kahu ki maa..
ab mai pakada jaana chhahta hu
tere hath se ek niwaala khaana chahta hu.
. bahut raato se kisi ne sir me tel nahi lagaaya maa
ek baar teri god me sir rakh ke sab kuch bhulaaaa chhahta hu
mujhe pata hai har waqt yaad karti hai mujhe tu
waqt bewaqt aane waali hichaki ko bhi yahi samjhaaya hai
ki mai jaanata hu,tu koi beemari nahi,
meri maa ne tere haatho apni yaado ka paigaam bhijwaaya hai
Us yaado ke jakheere me se kuch or khajaane bhi haath aaye
Kuch toote khilaune the shayad.
.jo the maine apane dost se churaaye
Or aisi jagah chhupaaye tha ki khud ko hi yaad nahi aaye
Un "khilaauno" or "meri khushiyo" me kuch jaada farak to nahi tha Dono hi kaafi saalo se khoye hue jo hai
Bachpan ki baat kuch to alag thi
Un "kancho" ki keemat "Kohinoor" se thodi hi kam thi
. Wo patang udaate2 man ka patang se bhi door nikal jaana.
Wo cricket match haarne pe,,,duniya ka khatam ho jaana.
. Wo dost ko gaali dene waale ko jaan se maarne ki thaan lena
Or fir usi dost se ladane pe uski kameej ki batane tod dena
Un "batano" or "mujhme" jaada farak to nahi hai..
Aakhir dono hi aaj "tute" jo hai.
Ab jab mai ghar aata hu.. To apane ghar ko khoya hua paata hu
Ab gali me bachhe kuch kam hai.
.maidaano me halchal kuch kam rehti hai
Padosi ke ghar ki khidakiyo ke sheeshe puraane hai
unhe badalne ki jaroorat shayad ab kam rehti hai
Ab bachhe raasto me gaay ki pooch pakad ke nahi daudate
Koi yahaa Ghanto patang ke katane ka intejaar nahi karta
bachhe yahaa bigade baal or fate kapado me nahi ghoomate
Sochata hu ki ye taur tareeke waale hai, ya ham hi nikamme the.
un "baalo", or mere "haalaato" me jaada farak to nahi hai shayad
Aakhir ye sab hi "bigade" jo hai..
shayad mai ab mai kuch bada ho gaya hu maa ko kehta hu ki tum nai samajhogi.
.tumhe kya pata? Wo aurat jo bina mere kahe samjh jaati thi mere rone ki wajah.
Jise pata rehta tha uske ansh ke khush hone ki jagah..
Kabhi socha nahi tha ki ek din usko hi jhuthlaaonga..
Maa ab mai tumhe nahi sataaonga nahi maangooga wo mehange khilaune,
naa shaam ko der tak khelne jaaonga, Bus ek baar mujhe fir se chhota kar do maa,
koi jid nahi machaaonga..
Aakhiri cheej jo mili mujhe wo tha meri maa ke hath ka likha khat,
Jab maa kuch dino ke liye naani ke ghar thi gayi Likha tha usme..
Beta mai jaldi aaugi.
Khoob man lagaa ke padhna.
Or dosto se mat ladna aate waqt tere liye khoob saari cheejein laaungi
Aakhir me likha tha ki bade ho ke kuch ban ke dikhaana,
apani maa ka naam uncha karwaana..
Us khat ki jaroorat kuch kam thi mujhe,,
wo har alfaaj yaad hai mujhe
Har pal tumhe yaad karta hu maa,,
tere sapne ke khatir tujse hi door rehta hu maa..
Rookhi sookhi kabhi,,khaali pet bhi sota hu maa..
apni tanhaai ko aazaadi bataata hu ma,
har gham ko tujhe khushi batata hu ma
Ik baar tujhse lipatane ko ghanto rota hu maa,
ye sab kuch tere liye karuga maa..
tera naam sabase uncha karuga maa Teri
us chitthi ka maan jaroor rakhuga maa
us "khat"or meri "dhadkan" me jyaada farak to nahi hai shayad,
dono hi mujhe maa ki yaad dilaate jo hai
Artwork Comments